Hotel jesa palak ka kofta banaye Skip to main content

Hotel jesa palak ka kofta banaye

Hotel ke jesa palak ka kofta babaye:-

Dosto aaj kal ready khana khane hotel me

 jate he aur bahut sara paisa kharch karte he

 lekin jo logo ka bahar ke hotel khana achcha

 nahi lagta unke liye aaj hum laye new recipe

 jo bilkul hotel jesa hi hoga palak swathya ke

 liye achchi mani jati he aur aaj aapke liye

 banaye ge palak ke bilkul hotel jese palak ka

 kofta dosto puri post ko dhyan se padhe ek

 bhi step miss na kare 

Palak ka kofta banane ke liye aapko niche

 batayi gai samgri chahiye 

Palak ka kofta banane ki samgri:-

1:- 250 gram palak

2:- 4 T spoor meida 

3:- 4 T spoon cornflour

4:- 100 gram paneer

5:- 4  hari mirch

6:- 3 T spoon hara dhaniya

7:- 2 T spoon coconut powder

8:- 2 T spoon mungfali ka powder

9:- 1/2 nimbu

10:- 2 T spoon sugar

11:- Oil jarurat ke hisab se

12:- malai

13:- 1 1/2 Cup red grevi

14:- namak 

Palak ka banane ki vidhi:-

Palak ke kofte banane ke liye palak ko barik kat le aur use achchi tarah pani me dhoke use ek baratan me pani rakh kar use achchi tarah ubale aur ubalne ke use thanda hone de

Palak thanda hone ke bad usme meida, cornflour, namak,1T spoon oil, aur thoda malai dal kar luye banale

Paneer ke ander thoda namak dalkar usme barik kati huvi hari mirch , hara kata huva dhaniya, coconut powder, mugfali ka powder, nimbu, aur sugar dalkar kar achchi tarah mix karle 

Palak ke luve ko le leke usme paneer ka banaya huva mava le kar usko achchi tarah se bharle aur bhare huve kofte ko garam oil me fray karle  kofta thoda soft na ho to usme thoda malai jyada dale aur chchuta pad jata ho to cornflour ya meida dale

Red grevi me kofta dalkar kofta plate me nikal kar rakhe 

To dosto Ready Ho gaya Hotel ke jesa palak ka kofta aapko hamari jankari kesi lagi hme comment kare aur recipe ko share kare aur hamare blog ko subscribe kare






Comments

Popular posts from this blog

American mint burger banaye

American mint burger banaye:- Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy  Recipe blog par dosto hum aapke liye new  recipe late hi rahete he dosto hum log jab  gharka khana kha kha ke bor ho jate he to  hum hotel me khana khane pahuch jate he  hum roj roj ek hi test se khana khate rahete  issliye kuchh naya trai karne bajar ka ya hotel  ka khana khane ka pasand karte he dosto aaj  me aapke ek new recip layi hu jis ko aap  khane ke bad aap bahar ka khana ignore  karonge dosto aaj hum banayenge testy aur  healthy recipe jiska naam he American mint  burger   Dosto American mint burger banane ke liye  aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jise aap  bajar ja kar kharid sakte he  Dosto American mint burger banane ke liye  aapko niche batayi huvi chijo ki jarur padengi  aapko meri post puri padhni hi ek bhi step bhi  miss na kare nahito aapka khana bigad sakta  he me jo...

pooran puri

Puran puri:- Dosto aaj hum banayenge puran puri Jo khane me bahut testy hoti he, puran puri  banane ke liye aap ko  niche batayi gai  samagri chahiye Puran puri banane ki samgri:- 1:- 1 cup tuver dal 2:- 1 cup sugar ya good 3:- 1/2 tee spoon ilchi ka powder 4:- 1/2 tee spoor posta, 5:- 1/4 tee soon jayfal powder 6:- ghee  7:- 1 1/4 ghehu ka aata   Puran puri banane ki vidhi:- Kukar me aap toor dal  pani milake pakaye.pak  jane ke bad usme se  pani nikal le. Ek bartan  me ghhe lagakar toor dal ko usme  nikale aur jarurat ke hisab se gud aur sugar  dalene ke bad us bartan ko ges pe rakhe aur  hilate rahiye Banaya huva puran jyada dhilla lage to usme 2  tee spoon ghehu ka aata thoda ghee dalkar  usme mix kare aur jale nahi isliye hilate rahe  puran thoda ghada ho jaye tab nikale Banaye huva jo puran usme  ilchi ka powder  , jayfal powder,   ...

vegetable fraid rice

Vegetable fraid rice :-  Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy Recipe blog par dosto aaj aapke liye laye he ek aur new recipe jiska naam aapne tital me padhliya hoga dosto hum ghar pe vegetable fraid rice banate to he lekin hotel ke jesa look aur test hamare khano me nahi milta julta he to aapki problem ka solution hum nikal kar laye he ek new tricks ke sath ek new recipes to dosto aap ek bhi step miss na kare aap 100% hotel ke test me apna khana bana payenge to start karte he vegetable fraid rice ko banana Dosto vegetable fraid rice ko banane ke liye aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jo niche batayi gai he aur aapko aasani se bajar se mil jati he Vegetable fraid rice banane ki samgri:- 1 :- 500 gm rice 2 :- oil 3 :- sajina ful 4 :- 100 gm fanisi 5 :- 2 barik kata pyaaj 6 :- 100 gm gajjar 7 :- 3 hari pyaaj 8 :- ajinomoto 9 :- 1 pics simla mirch 10 :- 3 tebal spoon soya sos 11 :- 1/2 t spoon crush kali mirch 12 :- 1 t spoon siraka ( vinger)...