Hotel jesa american chopsuey banaye ghar par Skip to main content

Hotel jesa american chopsuey banaye ghar par

Hotel jesa american chopsuey babaye ghar par:-


Dosto aaj hum banayenge american chopauey

 wo bhi ghar par aaj kal mahengai itni badh gai

 he ki hotel me khana khane ke liye jyada paisa

 kharch karna padta he aur kai logo to hotel ka

 khana khane ki aadat hi nahi hoti he wo log

 jyadatar ghar ka bana khana khaneko pasand

 karte he aaj corona jesa virus se bachne ke

 liye kayi taknik ka istemal hota he aaj aap

 gharka bana khana jyada pasand karonge

 kyoki bahar ka khana utna safe nahi jitna

 gharka he to dosto banate he home made

 american chopsuey 

Dosto american chopsuey banane ke liye

 aapko niche batayi gai samgri ki jarurat padegi

American chopsuey banane ki samgri:-


1:- 50 gram pyaj


2:- 3 hari pyaj 


3:- 2 shimla mirch


4:- oil

5:- 300 gram bundgobi

6:- 100 gajar

7:-50 gram phanaas

8:- 2 chutki ajinomoto

9:- 300 ml water 

10:- 200 gram tameto ketchup

11:- 2 T spoon sugar

12:- 1  T spoon kali mirch powder

13:- 3 T spoon cornflour

14:- 1 nimbu

15:- 100 gram  taja tamater 

16:- 1 T spoon vinegar

17:- namak

18: noodals

Dosto american chopsuey banane ke liye itni

 chijo ki jarurat padti he aapko noodals bajar

 se ready milgata he 

Dosto ab american chopsuey banane ki taiyari karte he

American chopsuey banane ki vidhi:-



Hara pyaj , shimla mirch aur pyaj ko barik kat

 le aur gas par ek baratan me 1 spoon oil

 dalkar upar kata huva shimla mirch aur pyaj,

 hari pyaj dalkar 5 minit tak halke gas par

 pakaye achchi tarah pak jane ke baad usme

 bundgobi ko thoda lumba kat kar dale aur

 gajar ko bhi lumba kat kar dale usme

 ajinomoto dal kar usko achchi tarah pakne

 rakh dijiye 


Aur usme paani dal kar thoda pyaj kat kar dale,

 tometo ketchup , sugar, namak, kala mirch

 powder aur chuki ajinomoto dal kar pakne

 dijiye thoda pakne ke baad usme tamater kat

 kar dale pura pak jaye tab ek chhote baratan

 me cornflour ko pani me bhigoke rakhe aur

 usme dalde




Thoda gada hone ke baad usme nimbu ka ras,

 aur vinegar dalkar gas par se niche utar le

 uske upar nood als ko fray karke dalde

To dosto ready he American chopsuey aur bhi

 recipe ko jan ne kiye aap hamare blog par

 subscribe kijiye taki aapko hamari blog ki

 jankari milti rahe 





Comments

Popular posts from this blog

American mint burger banaye

American mint burger banaye:- Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy  Recipe blog par dosto hum aapke liye new  recipe late hi rahete he dosto hum log jab  gharka khana kha kha ke bor ho jate he to  hum hotel me khana khane pahuch jate he  hum roj roj ek hi test se khana khate rahete  issliye kuchh naya trai karne bajar ka ya hotel  ka khana khane ka pasand karte he dosto aaj  me aapke ek new recip layi hu jis ko aap  khane ke bad aap bahar ka khana ignore  karonge dosto aaj hum banayenge testy aur  healthy recipe jiska naam he American mint  burger   Dosto American mint burger banane ke liye  aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jise aap  bajar ja kar kharid sakte he  Dosto American mint burger banane ke liye  aapko niche batayi huvi chijo ki jarur padengi  aapko meri post puri padhni hi ek bhi step bhi  miss na kare nahito aapka khana bigad sakta  he me jo...

pooran puri

Puran puri:- Dosto aaj hum banayenge puran puri Jo khane me bahut testy hoti he, puran puri  banane ke liye aap ko  niche batayi gai  samagri chahiye Puran puri banane ki samgri:- 1:- 1 cup tuver dal 2:- 1 cup sugar ya good 3:- 1/2 tee spoon ilchi ka powder 4:- 1/2 tee spoor posta, 5:- 1/4 tee soon jayfal powder 6:- ghee  7:- 1 1/4 ghehu ka aata   Puran puri banane ki vidhi:- Kukar me aap toor dal  pani milake pakaye.pak  jane ke bad usme se  pani nikal le. Ek bartan  me ghhe lagakar toor dal ko usme  nikale aur jarurat ke hisab se gud aur sugar  dalene ke bad us bartan ko ges pe rakhe aur  hilate rahiye Banaya huva puran jyada dhilla lage to usme 2  tee spoon ghehu ka aata thoda ghee dalkar  usme mix kare aur jale nahi isliye hilate rahe  puran thoda ghada ho jaye tab nikale Banaye huva jo puran usme  ilchi ka powder  , jayfal powder,   ...

vegetable fraid rice

Vegetable fraid rice :-  Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy Recipe blog par dosto aaj aapke liye laye he ek aur new recipe jiska naam aapne tital me padhliya hoga dosto hum ghar pe vegetable fraid rice banate to he lekin hotel ke jesa look aur test hamare khano me nahi milta julta he to aapki problem ka solution hum nikal kar laye he ek new tricks ke sath ek new recipes to dosto aap ek bhi step miss na kare aap 100% hotel ke test me apna khana bana payenge to start karte he vegetable fraid rice ko banana Dosto vegetable fraid rice ko banane ke liye aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jo niche batayi gai he aur aapko aasani se bajar se mil jati he Vegetable fraid rice banane ki samgri:- 1 :- 500 gm rice 2 :- oil 3 :- sajina ful 4 :- 100 gm fanisi 5 :- 2 barik kata pyaaj 6 :- 100 gm gajjar 7 :- 3 hari pyaaj 8 :- ajinomoto 9 :- 1 pics simla mirch 10 :- 3 tebal spoon soya sos 11 :- 1/2 t spoon crush kali mirch 12 :- 1 t spoon siraka ( vinger)...