farali ananas cake Skip to main content

farali ananas cake

Farali ananas cake:- 





Dosto aap sabka swagat he hamare 
Healthy recipe blog par dosto aap sab malum hoga ki hamare iss blog par aapko nayi nayi recipe ki jankari milti raheti he aaj bhi hum aapke liye laye he ek new recipe jiska naam to aapne tital par dekh hi liya he to aapka jyada kimti samay na lete huve start karte he recipe ko banana
Dosto farali ananas cake banane ke liye aapko niche batayi gai kuchh chijo ki jarurat padengi jo aap normally use karte honge apne ghar par aur ye sab chije aapko aasani se bajar me mil jati he


Farali ananas cake banane ki samgri:-



1:- 1 cup  farali aatta

2 :- 1/2 dahi

3: :- oil 

4 :- butter paper

5 :- eno 

6 :- ananas essence

7 :- yellow color

8 :- barik pisi sugar

9 :- amul red packing cream

10 :- cherry

Farali ananas cake banane ki vidhi:-


Ek katore me barik pisi 100 ml sugar, 1/2 cup dahi mix kare uske bad use 1/4 oil dale  bad me usme 1 cup farali aatta dale uske bad usme 1/2 t spoon eno mix karle
Usme ananas essence, yellow color dalke mix kar lijiye kheera thik lage to usme 1 t spoon pani dale kheera patla na ho jaye vo yad rakhna 
Cake tin me oil dale aur us par butter paper rakh ke taiyar kar lijiye 
Cake tin me kheera dalkar use tap kar lijiye aur oven me 180 c for 30 -35 minit rake
  
Agar aapke pas oven nahi to bhi aap gas par bana sakte he 
Gas par aap ek bartan rakhe usme thoda namak dalke free hit kar le 5 minit tak namak hit ho jaye tab uspar stend rakhe aur cake tin rakh kar dhakkan dhak de 30 /35 minit tak pakne de uske bad cake chek kare chhura dalke chek kare agar cake nahi bana hai to aap 5 minit tak aur paka lijiye
 Amul red paiking valee creem le aur yah thanda hona chhahiye creem whip kar lijiye 
Jo cake taiyar huva he use nikal de butter pepar nikal  lijiye cake ko aadha kat le 


Cake board par  creem lagaye aur ek cake ki parat lagaye upar se ek pyale me sugar aur pani daliye chashnee banaye us pani ko cake  ki parat lagaye is par  do chammacha creem lagaye phir us par cake ki doosri parat lagaye upar ke hisse par chashni lagaye whip creem lagaye aur cake ko finishing kare achchhi tarah  finishing kare iske upar creem ka phool bana le jaha phool banaya he vaha cherry rakhe ready ho jane ke bad  aap 3 /4 ghante thanda karne ke liye rakh dijiye 

Read also:-





Comments

Popular posts from this blog

American mint burger banaye

American mint burger banaye:- Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy  Recipe blog par dosto hum aapke liye new  recipe late hi rahete he dosto hum log jab  gharka khana kha kha ke bor ho jate he to  hum hotel me khana khane pahuch jate he  hum roj roj ek hi test se khana khate rahete  issliye kuchh naya trai karne bajar ka ya hotel  ka khana khane ka pasand karte he dosto aaj  me aapke ek new recip layi hu jis ko aap  khane ke bad aap bahar ka khana ignore  karonge dosto aaj hum banayenge testy aur  healthy recipe jiska naam he American mint  burger   Dosto American mint burger banane ke liye  aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jise aap  bajar ja kar kharid sakte he  Dosto American mint burger banane ke liye  aapko niche batayi huvi chijo ki jarur padengi  aapko meri post puri padhni hi ek bhi step bhi  miss na kare nahito aapka khana bigad sakta  he me jo...

pooran puri

Puran puri:- Dosto aaj hum banayenge puran puri Jo khane me bahut testy hoti he, puran puri  banane ke liye aap ko  niche batayi gai  samagri chahiye Puran puri banane ki samgri:- 1:- 1 cup tuver dal 2:- 1 cup sugar ya good 3:- 1/2 tee spoon ilchi ka powder 4:- 1/2 tee spoor posta, 5:- 1/4 tee soon jayfal powder 6:- ghee  7:- 1 1/4 ghehu ka aata   Puran puri banane ki vidhi:- Kukar me aap toor dal  pani milake pakaye.pak  jane ke bad usme se  pani nikal le. Ek bartan  me ghhe lagakar toor dal ko usme  nikale aur jarurat ke hisab se gud aur sugar  dalene ke bad us bartan ko ges pe rakhe aur  hilate rahiye Banaya huva puran jyada dhilla lage to usme 2  tee spoon ghehu ka aata thoda ghee dalkar  usme mix kare aur jale nahi isliye hilate rahe  puran thoda ghada ho jaye tab nikale Banaye huva jo puran usme  ilchi ka powder  , jayfal powder,   ...

vegetable fraid rice

Vegetable fraid rice :-  Dosto aap sabka swagat he hamare Healthy Recipe blog par dosto aaj aapke liye laye he ek aur new recipe jiska naam aapne tital me padhliya hoga dosto hum ghar pe vegetable fraid rice banate to he lekin hotel ke jesa look aur test hamare khano me nahi milta julta he to aapki problem ka solution hum nikal kar laye he ek new tricks ke sath ek new recipes to dosto aap ek bhi step miss na kare aap 100% hotel ke test me apna khana bana payenge to start karte he vegetable fraid rice ko banana Dosto vegetable fraid rice ko banane ke liye aapko kuchh chijo ki jarurat padengi jo niche batayi gai he aur aapko aasani se bajar se mil jati he Vegetable fraid rice banane ki samgri:- 1 :- 500 gm rice 2 :- oil 3 :- sajina ful 4 :- 100 gm fanisi 5 :- 2 barik kata pyaaj 6 :- 100 gm gajjar 7 :- 3 hari pyaaj 8 :- ajinomoto 9 :- 1 pics simla mirch 10 :- 3 tebal spoon soya sos 11 :- 1/2 t spoon crush kali mirch 12 :- 1 t spoon siraka ( vinger)...